Naye nickname ki expiration waali prakriya
This KB article is available in the following languages: English | Arabic | French | German | Malaysian | Russian | Spanish | Swedish | Portuguese | Urdu

Humne nickname expire hone ki prakriya mein kuch badlaav layein hain. Abh se nicknames 30 dino baad expire nahi honge, balki "inactive" ban jayengein.

Jab ek nickname "Inactive" ban jaata hai, koi bhi user jiske paas ek saal se jyada samay tak ka registered nickname ho, woh nickname request kar payega users.dal.net portal dwaaraa (Users --> Request a nickname).
Jab nickname request kiya jaata hai, us nickname ka is samay ke maalik ko email jaata hai aur unhe mauka milta hai online aakar apne nickname ko identify karne ka aur usse wapas haasil kar saktein hain. (NickServ ko identify karna hoga).

Agar, kisi nickname ka joh filhaal maalik hai unhone online aakar identify nahi kiya, toh services fir mauka deta hai un users ko jinhone request kiya tha us nickname ko register karne ka.

Ek se jyada user agar request karte hai ek nickname ko, toh fir services randomly ek user ko chunta hai aur unko mauka deta hai register karne ke liye.

Q: Kitne nickname ek user request kar sakta hai?
A: Technically dekhein toh koi bhi limit nahi hai, par dhyaan rakhein ki aur bhi log hain jinko nicknames ki jarurat hai. Utne hi nicknames rakhein jitne ki aapko jaroorat hai.

Q: Kya karna chahiye agar services dwara email mila hai, par authorization code expire ho gaya hai ("Your requested has already expired!")?
A: Agar services ne aapko chuna hai, toh aapke paas do din ka samay hota hai registeration karne ke liye. Iske baad services agar ye paati hai ki aapne registeration nahi kya, toh fir woh code expire ho jata hai aur kisi dusre ko mauka mil jata hai.

Q: Kya mera nickname ek saal purana registered hona jaroori hai?
A: Jee haan, yeh jaroori hai.

Q: Aap nickname collectors aur chasers ko kyu madat kar rahe hain?
A: Hamara udesh asal users ki madat karna hai. Yeh naya system asal users ko mauka dega barabar ka un logon se ladne ke liye joh nickname chase karte hai. Pehle chasers botnets dwara nickname pakadne ki koshish karte the par abh yeh mumkin nahi raha naye system ke aane ke baad.

Q: Frozen nickname ka kya hoga?
A: Frozen nicknames ko bhi yeh hi prakriya laagu hogi. Sirf fark itna rahega ki 30 din ke bajaye 90 din ke baad nickname inactive hoga. Request kiye jaane par purane user ko email nahi jaayega.

Q: Un nickname ka kya joh istemaal ya register nahi kiye jaa sakte?
A: Filhaal, yeh prakriya aise nicknames par laagu nahi hoti. Aage jaake hum koshish karenge unhe users ke liye uplabh kara payein.

Q: Mujhe ek nickname chahiye joh 30 dino se jyada tak identify nahi hua hai, par woh fir bhi Inactive nahi dikha raha, aise kyun?
A: Ya toh nickname frozen hai (frozen nicknames 90 dino ke baad hi inactive bante hain) ya fir nickname exempt kiya gaya hai. Kuch nicknames expire hone se exempt kiye gaye hain system mein, unmein si ek ho sakta hai woh nickname.

Q: Kya mein script ka istemaal kar sakta hun nickname register karne ke liye?
A: Nahi, system keval asal users ke liye hai; bots aur scripts ke liye nahi.

Q: Kya koi IRC Operator mujhe nickname dilva sakta hai?
A: Nahi, yeh prakriya automated hai poori tarah se.

Q: Kya koi IRC Operator bata sakta hai ki ek nickname ko kitne logon ne request kiya hai?
A: Nahi, yeh prakriya automated hai poori tarah se aur iski jaankari kisi ko nahi dikhti.

Q: Mein do mahine ki chutti pe tha aur meine email nahi dekha jaha likha gaya tha ki yeh nickname koi aur request karne ki koshish kar raha hai; kya mein woh nickname firse le sakta hun?
A: Nahi, ek inactive nickname ke maalik ko 7 din milte hain us nickname ko waapas haasil karne ka. Aisa na karne par, services dusro ko mauka deti hai nickname ko register karne ka (is dauran nickname expire hota hai).

Q: Mujhe email mila ki aapka request kiya gaya nickname abh uplabdh hai registeration ke liye, par jab meine use leni ki koshish ki toh pata chala ki purane maalik ne aake use wapas le liya, aisa kaise?
A: Purane nickname ke maalik ko 7 din milte hain nickname ko wapas haasil karne ke liye. Is ke baad services dusro ko mauka deti hai usse register karne ka, is dauran bhi agar koi usse nahi leta toh purane nickname ka maalik usse identify karke wapas haasil kar sakta hai, yeh design ke mutabik aisa banaya gaya hai.

Q: Agar kisi channel ke founder ka nickname inactive hojata hai, toh unke channels ka kya hota hai?
A: Kuch bhi nahi. Jab ek nickname "Inactive" banta hai, woh fir bhi saari access ka haqdaar rehta hai(channel foundership ka bhi). Keval agar woh nickname request kiya jaata hai aur naya user usse haasil kar leta hai, toh fir saare ke saare access nahi rehte. Channels jinka koi successor nahi hai woh expire ho jaate hain agar koi aur nickname haasil kar leta hai. Jis channel ke liye successor niyukt kiya gaya ho, fir wahan se "successor waali prakriya" shuru ho jaati hai (channel ka founder koi bhi nahi hogaa jab tak successor ko channel nahi mil jaata ya fir woh expire ho jaayega).
KB #407
Category: Translated FAQs
Added by: sps
Added on: 10/03/2018 09:14
Last updated by: sps
Last updated on: 10/03/2018 11:54
Attachments
File Size
*** None ***
User Account Login
Chat Now
:
:
Thanks for flying DALnet!
Tip of the day
Want to see where you're opped in? go to "Users" --> "Channels" --> "Where am I opped in?"