SpamFilter ki Khasusiyat
This KB article is available in the following languages: English | Arabic | German | Indonesian | Malaysian | Swedish | Portuguese



SpamFilter, DALnet ki IRCd (Bahamut) mein aik naya izafa hai jo ke mojooda spamming aur flooding ke hamlon se muqabla karne ke liye hamari madad ki khatir shamil kiya gaya hai.

Ye intehai lachakdaar hai, aur zaati peghamaat mein, notices, kick, away aur quit ke sath diye jane walay peghamaat mein, kamray ke mozo'u ya kamray ke tamam peghamaat mein, aur kamra chortay wakt diye jane walay peghamaat mein spam ki shanakht ki ja sakti hai .

Bunyadi taur par, agar hamare database mein spam walay peghaam ka koi makhsoos hissa mojood hoga tau iski pehchan kar li jaye jaye gi aur is se nimat liya jaye ga.

IRC Operators ke paas spam ko database mein shamil karne ki rasaai hoti hai aur wo muta'addad tareeqon ka istemal kar saktay hain spam se nimatne ke liye khud kaar tariqa-kaaron ke zariye.

Aam taur par, spam ko roka ja sakta hai, taa ke aapko bilkul hi spam ka samna na karna paray ya phir bhejne walay shakhs ko bhi network se ban kiya ja sakta hai.

SpamFilter ka option pehle se teh shuda tarteeb ke tahet tamam (sarfeen aur channels) ke liye ON par qayam hoga. Taaham, agar aap aisa nahi chahtay tau ise (apne hisab se) tabdeel kar saktay hain.

Agar aap apne urfi'naam ke liye SpamFilter ke hifazati option ka istemal nahi karna chahtay tau likhiye /mode yournick +P
Agar aap apne kamray(channel) ke liye SpamFilter ke hifazati option ka istemal nahi karna chahtay tau likhiye /mode #channel +P

Iska matlab aapko ya aap ke channel ko bhejay jane walay koi bhi peghamaat database se chaan-been kiye bina aapko wasool hon ge.

Yaad rahay ke koi bhi insan aap ke peghamaat nahi dekh pye ga ya unko parhne ke qabil nahi hoga (jab tak ke unko spam ke taur par trigger na kar diya gaya ho)

Ye khalisitan aik khudkaar nizaam hai, Sirf tajarba-kaar IRC operators (ziada tar CSops) hi wo log hon ge jo ke spam ko database mein add kar saktay hain.

Agar aap ko kisi spam ka samna hai tau bara-e-maherbani iske baray mein #operhelp mein bataiye, taa ke isko SpamFilter ke database me shamil kiya ja sakay.

Agar aap ke zahen mein SpamFilter ke hawale se mazeed koi sawal hai tau bara-e-maherbaani #operhelp mein shamil hoiye, hamain aap ki madad kar ke behad khushi hogi.

KB #419
Category: Translated FAQs
Added by: PaheLi
Added on: 18/09/2018 23:34
Last updated by: Fredfred
Last updated on: 11/10/2018 15:28
Attachments
File Size
*** None ***
User Account Login
Chat Now
:
:
Thanks for flying DALnet!
Tip of the day
You can delete all your memos by typing /MemoServ DEL ALL