Ghair Fa'aal Urfi'Naam
This KB article is available in the following languages: English | Arabic | French | German | Malaysian | Russian | Spanish | Swedish | Portuguese | Hindi

Hum ne urfi'naam ke miyaad ki muddat mein tabdeeli kar di hai. Aaj se, urfi'naam 30 din ki muddat khatam hone ke baad bhi khatam nahi kiye jaye ge. Balke, unko sirf "ghair fa'aal" urfi'naam ke taur pe nishan zad kar diya jaye ga.

Jab aik urfi'naam ko "ghair fa'aal" ke taur pe nishan zad kar diya gaya ho aur us ka indraaj karwaye huye aik saal ka arsa bhi beet chuka ho tab bhi sarif users.dal.net portal (Users --> Request a nickname) ke zariye usay wapis hasil karne ki darkhuast kar sakta hai.

Jab aik urfi'naam ko hasil karne ke liye darkhuast jari ki jati hai, tau us urfi'naam ke mojooda malik ko bazariya email iske baray mein mutalaa kiya jata hai aur phir wo wapis online aakar apne urfi'naam ka daawa kar sakte hain (NickServ se apni shanakht karwa kar).

Agar us urfi'naam ka malik wapis online aakar apne urfi'naam ki milkiyat ka daawa nahi karta tau DALnet services kisi bhi doosre sarif ko iska indraaj karwane ka moqa faraham kar de gi.

Agar aik se ziada logo ne us urfi'naam ko hasil karne ki darkhuast ki hai tau DALnet services randomly kisi bhi aik sarif ko usay hasil karne ka moqa faraham kar de gi.

Q: Mein Kitne urfi'naam rakh sakta/sakti hun?
A: Yahan koi takneeki hadd muqarrar nahi ki gai hai ye jan'ne ke liye ke aap kitne urfi'naam darkhuast kar sakte hain, Taaham, dhayan rakhain ke aap ke illawa aur log bhi ho sakte hain jo aap ki terha us urfi'naam ko hasil karna chahtay hain isliye aapko itne urrfi'naam nahi rakhne chahiye jinka aap istemal tak na kar sakain.

Q: Aisi soorat mein kya hoga agar mein me services ki taraf se email tau mosool kar li hai magar website kehti hai ke meri darkhuast ki miyaad khatam ho chuki hai ("Aapki darkhuast ki miyaad pehle se hi khatam ho chuki hai")?
A: Agar services ne aapko muntakhib karte huye aapko ye urfi'naam indraaj karwane ka moqa faraham kar diya hai, tau aapko laazman 2 din ke andar isko mukammal karna hoga, warna 2 din guzarne ke baad services kisi aur ko is urfi'naam ka indraaj karwane ka moqa faraham kar de gi.

Q: Kya zaruri hai ke mera urfi'naam aik saal tak ke liye darj ho jaye ga?
A: Ji han, ye zaruri hai.

Q: Aap urfi'naam hasil karne walo ki madad kyun kar rahay hain?
A: Hamara maqsad asal sarfeen ki madad karna hai. Hamara naya nizam asal/haqiqi sarfeen ko moqa faraham karay ga jo ke kisi makhsoos urfi'naam ko hasil karne ke liye "muqabla" karte hain baqi ta'aaqub mein lagay logo ke sath. Guzishta taur par, ta'aaqub me lagay sarif sirf aik botnet ke istemal se urfi'naam hasil kar liye karte thay aur haqiqi sarfeen ko moqa hi nahi mil paata tha.

Q: Munjamid urfi'naamo ke baray mein kya khayal hai?
A: Munjamid urfi'naamo ke liye bhi yehi tariqa kaar hai magar munjamid urfi'naam 365 dino (30 din ke bajaye) ke baad hi ghair fa'aal qarar diye jaen ge aur pehle malik ko is ke baray mein koi itlaa nahi di gaye gi.

Q: Un urfi'naamo ke baray mein kya khayal hai jinka istemal nahi kiya gaya hai aur indraaj mukammal nahi karwaya gaya hai?
A: Filhal, hamara naya nizaam aise urfi'naamo par asar andaaz nahi hota, magar ho sakta hai hum mustaqbil mein sarfeen ko aise urfi'naamo ko bhi hasil karne ka moqa faraham karein.

Q: Agar mein aisa aik urfi'naam hasil karna chahta/chahti hun jo ke 30 din se ziada istemal nahi kiya gaya hai magar /NickServ INFO isay ghair'fa'aal urfi'naam ke taur pe zahir nahi kar rahi hai. kyun?
A: Ya tau urfi'naam munjamid hai (munjamid urfi naam sirf 365 din ke baad hi ghair fa'aal qarar diye jaen ge) ya phir wo urfi'naam mustasna hai. Maazi mein kuch urfi'naam asisi tarteeb ke sath thay jo ke unko unki muddat khatam hone se rok saktay thay, aise urfi'naam mustasna hain is nizam se aur ghair fa'aal nahi ho paen ge.

Q: Kya mein bazariya script kisi urfi'naam ki darkhuast kar sakta hun?
A: Nahi, ye nizam haqiqi sarfeen ke liye hai scripts/bots ke liye nahi.

Q: Kya aik IRC Operator, mere darkhuast karda urfi'naam ko hasil karne mein meri madad kar sakta hai?
A: Nahi, ye aik khudkaar nizam hai aur IRC Operators ismein mudakhlat nahi kar sakte.

Q: Kya aik IRC Operator mujhe ye bata sakta hai ke mere illawa aur kitne logo ne is urfi'naam ki darkhuast ki hai?
A: Nahi, ye aik khudkaar nizam hai aur ye aik khufya malumaat hai.

Q: Mein 2 maheeno ke liye chuthio'n pe tha/thi aur mein ne wo email nahi dekh paya/pai jis mein mujhe mutila kiya gaya tha ke kisi ne mera urfi'naam hasil karne ki darkhuast ki hai. Kya ab mein apna ufi'naam wapis hasil kar sakta/sakti hun?
A: Nahi, aik ghair fa'aal urfi'naam ke malik ke paas 7 din ka wakt hota hai wapis apne urfi'naam ka daawa karne ke liye. Agar wo aisa nahi kartay tau DALnet services is urfi'naam ki darkhuast karne walay logo mein se kisi ko bhi isay sonp de gi (aur is amal ke doran urfi'naam ke miyaad ki muddat khatam ho jati hai).

Q: Agar mein ne aik urfi'naam ki darkhuast karu aur aik haftay baad mujhe aik email bhi mosool ho ye batane ke liye ke jis urfi'naam ke liye main ne darkhuast ki thi wo dastiab hai magar is se pehle ke mein iska indraaj karwa saku, agar guzishta malik aakar apne urfi'naam ki pehchan karwa deta hai NickServ se. Tau?
A: Qaiday ke mutabiq guzishta malik ke paas 7 din hotay hain apne urfi'naam ka daawa karne ke liye magar takneeki taur par (by design), wo 7 din ke baad bhi online aakar apne urfi'naam ka daawa zahir kar sakte hain jab tak ke koi aur na aakar mukammal taur par uski milkiyat hasil kar leta (Jis ne ke iski darkhuast ki ho aur services se hasil har liya ho).

Q: Aise kamray ka kya hoga jis ke Baani ka urfi'naam ghair'fa'aal qarar diya ja chuka hai?
A: Kuch bhi nahi. Jab aik urfi naam "ghair'fa'aal" kar diya jata hai, tab bhi us ke paas wo tamam ikhtiaraat hotay hain jo ke pehle thay (bashamool kamron ki milkiyat ke). Ikhtiaraat sirf tab hi khatam kiye jaen ge jab koi aur sarif urfi'naam ki darkhuast kar ke mukammal taur par uski milkiyat hasil nahi kar leta. wo kamray jinka janasheen muqarrar nahi kiya gaya hai, khatam kar diye jaen ge agar koi aur sarif urfi'naam (us kamray ke baani ka) mukammal taur par hasil kar leta hai aur wo kamray jinke janasheen muqarrar kiye gaye hain, unke paas moqa hoga ke "janasheen ke amal" shuru kar sakain (kamray ka tab tak koi Baani nahi ho ga jab tak ke janasheen isay hasil nahi kar leta, doosri soorat mein kamra khaam ho jaye ga).
KB #291
Category: Translated FAQs
Added by: h
Added on: 13/06/2017 06:19
Last updated by: PaheLi
Last updated on: 18/03/2019 17:40
Attachments
File Size
*** None ***
User Account Login
Chat Now
:
:
Thanks for flying DALnet!
Tip of the day
Not sure what is lol, afk and other Internet acronyms? check out http://docs.dal.net/docs/acronyms.html